ai markaz-e-ḳhayal bikharne laga huun main
apne tasavvurat se Darne laga huun main
is dopahar ki dhuup men saaya bhi kho gaya
tanha.iyon ke dil men utarne laga huun main
bardasht kar na pa.unga vahshat ki raat ko
use sham-e-intizar bipharne laga huun main
is tirgi men kirmak-e-shab-tab bhi nahin
tarikiyon ko ruuh men bharne laga huun main
ab dil men teri yaad ki ik sham.a tak nahin
tarik raston se guzarne laga huun main
Leave a Reply