junun tabdili-e-mausam ka taqriron ki had tak hai
yahan jo kuchh nazar aata hai tasviron ki had tak hai
ghubar asar karti hai musafir ko subuk-gami
tilism-e-manzil-e-hasti to rahgiron ki had tak hai
zamane tu ne gham ko bhi numaish kar diya akhir
nashat-e-girya-o-matam bhi zanjiron ki had tak hai
Leave a Reply