
Fartash Syed
ham vafadar hain aur is se ziyada kya hon
bas tire yaar hain aur is se ziyada kya hon
ek hi sach ne hamen aisa kiya sar-afraz
barsar-e-dar hain aur is se ziyada kya hon
main akela huun miri jaan ke dushman aflak
ek do chaar hain aur is se ziyada kya hon
naam sunte hi mira ag-bagula ho jaa.en
mujh se bezar hain aur is se ziyada kya hon
umr bhar baat pe qaa.em rahe ‘fartash’ ki ham
ahl-e-kirdar hain aur is se ziyada kya hon

Leave a Reply