shab ki mutrib tha sharab-e-nab thi paimana tha
vo pari-vash kya na tha goya ki jo kuchh tha na tha
soz-e-dil se lab ye har dam naala betabana tha
hijr-e-saqi men kisi pahlu qarar asla na tha
jalva-gar dil men ḳhayal-e-ariz-e-janana tha
ghar ki zinat thi ki zinat-baḳhsh sahab-ḳhana tha
kya karun ab mubtala huun aap apne haal men
di thi ne.amat us ne jab lab par mire shukrana tha
shohra-e-afaq hoti meri az-ḳhud-raftagi
ḳhairiyat guzri ki a.ankhon se tujhe dekha na tha
fasl-e-gul men chhoḌta mai dekh kar mah-e-siyam
kuchh junun mujh ko na tha vahshat na thi sauda na tha
kya kahun Dar ye hai vo laila-ada rusva na ho
varna majnun se bhi kuchh baḌh kar mera afsana na tha
gar nazakat men na hota misl-e-tar-e-ankabut
ḳhuub ulfat se zamana men koi rishta na tha
yuun za.ifi aa ga.i goya azal se the za.iif
aur shabab aisa gaya jaise kabhi aaya na tha
hai yaqin ashiq tumhara mar gaya ho lo ḳhabar
main ne kal dekha tha ja kar haal kuchh achchha na tha
nim-baz ankhen tumhara naam tha vird-e-zaban
zaḳhm-e-dil par haath tha lab par magar shikva na tha
baḳht ki bargasht-agi guzri hai had se ai ‘habib’
dekhte hain un ke talve jin ka munh dekha na tha
Leave a Reply