tire sitam pe qana.at na ki to kuchh na kiya
tamam umr mohabbat na ki to kuchh na kiya
ye dekh kar ki sukun se guzar rahi hai hayat
tiri nazar ne shararat na ki to kuchh na kiya
gham ik ata hai magar tu ne ai dil-e-nadan
baja.e shukr shikayat na ki to kuchh na kiya
bura na maan ki dastur ke ḳhilaf nahin
jo dosti men adavat na ki to kuchh na kiya
mizaj puchhne vaale mira qusur muaaf
tavajjohat ki zahmat na ki to kuchh na kiya
vo chahte hain to ham jaan nazr kar denge
jo yuun bhi sharh-e-mohabbat na ki to kuchh na kiya
qadam-qadam pe ye avaz sun raha huun main
vafa ki raah men himmat na ki to kuchh na kiya
abhi to ḳhair haram ki talash hai mujh ko
tire qadam ki ziyarat na ki to kuchh na kiya
jabin-e-shauq jhuka denge pa-e-saqi par
jo mai-kade men ibadat na ki to kuchh na kiya
Leave a Reply