• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jab Achanak Mere Pahlu Se Mera Yar uTha

Jab Achanak Mere Pahlu Se Mera Yar uTha

jab achanak mire pahlu se mira yaar uTha

dard siine men uTha aur ka.i baar uTha

zindagi bojh na ban jaa.e tan-asani se

apne raste men kabhi ḳhud koi divar uTha

sarsar-e-vaqt se ghafil tha tu ai kibr-nazad

gir ga.i ḳhaak zamin par tiri dastar uTha

vahm-e-nazara men hai afiyat-e-dida-o-dil

bhuul kar bhi na kabhi parda-e-asrar uTha

jis se ho jaa.en mire chahne vaale taqsim

aisi divar na koi mire me.amar uTha

ḳhauf-e-tadib se mazlumon pe roya na gaya

sham-e-maqtal men koi bhi na azadar uTha

duur tak phaila hua dasht-e-bala hai bahar

apni mahfil se na mujh ko mire dildar uTha

naz-bardar-e-hunar ho ga.e ruḳhsat kab ke

ab bisat-e-suḳhan-o-naghma-o-ash.ar uTha

samne tere zar-afshan hai na.i sub.h-e-umid

apni palkon ko zara dida-e-ḳhun-bar uTha

kal ‘farasat’ tha yahan majma-e-yaran tire saath

ab isi shahr men tanha.i ke azar uTha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Hai Aaftab Aur Mere dil Ka dagh Ek

Apni Sachchai Ka Aazar Jo Pale Hue Hain

Sans ukhDi Hui Sukhe Hue Lab Kuchh Bhi Nahin

poet

Haq-Nawa Jurat-E-Izhaar Tak Aa Pahunche Hain

jaun-eliya

dil Ki Taklif Kam Nahin Karte

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet