hamara to koi sahara nahin hai
ḳhuda hai to lekin hamara nahin hai
mohabbat ki talḳhi gavara hai lekin
haqiqat ki talḳhi gavara nahin hai
miri zindagi vo ḳhala hai ki jis men
kahin duur tak koi taara nahin hai
ḳhuda kya ḳhudi ko bhi avaz di hai
musibat men kis ko pukara nahin hai
sarab ik haqiqat hai aab ik tasavvur
yahi zindagi hai to chara nahin hai
ham apni hi ankhon ka parda ulaT den
haqiqat ko ye bhi gavara nahin hai
vo kya un ke gesu sanvarega jis ne
gareban bhi apna sanvara nahin hai
ḳhuda us se nipTe to nipTe ki ye dil
hamara nahin hai tumhara nahin hai
nazar un ki gosha-nashin hai haya se
ishara nahin ye ishara nahin hai
hamara hai kya jab hamara irada
hamara hai lekin hamara nahin hai
gareban bahut se hue paara paara
naqab ek bhi paara paara nahin hai
kisi ke liye dil ko sulga ke dekho
jahannam koi isti.ara nahin hai
ba-juz ‘maz.hari’ ke sabhi bazm men hain
vahi tere va.adon ka maara nahin hai
Leave a Reply