mila jo ḳhaar to dil men biTha liya main ne
har ek phuul se daman bacha liya main ne
nazar men un ka sarapa basa liya main ne
gham-e-firaq ko asan bana liya main ne
na puchh mujh se mire fart-e-shauq ka aalam
har ek gham ko tira gham bana liya main ne
bhaḌak ke bujh gaya jab us ka har ek diya
charagh-e-dil ko shab-e-gham jala liya main ne
ye kya ḳhabar thi dahakte hue hain angare
samajh ke phuul jinhen sar chaḌha liya main ne
fareb-kar rafiqon ki ab nahin hajat
ki apne siine se gham ko laga liya main ne
samajh liya jise auron ne ‘ashk’ na-mumkin
usi ko apni tamanna bana liya main ne
Leave a Reply