us ne mai pi ke sar-e-bazm jo saghar ulta
varaq-e-anjuman-e-dahr sarasar ulta
dekhne vaale ko duniya hai sarapa tasvir
go hai aine men aks rukh-e-dilbar ulta
kar diya aa ke chaman ko tah-o-bala kis ne
koi sidha hai yahan koi gul-e-tar ulta
naaz se mujh ko sar-e-bazm jo saaqi ne diya
haath tharrae kuchh is tarah ki saghar ulta
ai khuda kya yuun hi aati hai kisi dost ki yaad
aa gaya munh ko kaleja dil-e-muztar ulta
dad-khvahan-e-mohabbat ka ye amboh-e-kasir
dil mira dekh ke hangama-e-mahshar ulta
jis pe ki baith ke vaaiz ne mazammat mai ki
majlis-e-vaz men rindon ne vo mimbar ulta
ya zamane men mohabbat ke fasane hain ghalat
ya mira naqsh-e-vafa hai mire dil par ulta
ta-kuja ai dil-e-bimar ye rahat-talabi
umr bhar jab se bichha phir na ye bistar ulta
uth gai aaj zamane se bisat-e-ulfat
bistar-e-marg mira us ne ye kah kar ulta
ashk-bari-e-shab-e-hijr ka kya haal likhun
dida-e-tar ne ‘nazar’ ek samundar ulta
Leave a Reply