abru ne chashm-e-naz ne mizhgan-e-yar ne
ghayal kiya mujhe inhin do-tin-char ne
vaaiz gharaz ye thi ki dar-e-but-kada pe ham
dar-parda kal gae the kisi ko pukarne
ashiq hazaron surat-e-parvana gir pade
ulti naqab rukh se jo mahfil men yaar ne
sauda raha ki ishq-e-butan men hai faeda
ham ko kiya tabah isi kar-o-bar ne
kyuun bar-bar jaaen na ham ku-e-yar men
majbur kar diya hai dil-e-be-qarar ne
lazim nahin buto tumhen daava khudai ka
paida kiya hai is liye kya kirdgar ne
majbur ho ke baith rahe ku-e-yar men
ham ko javab de diya jab ikhtiyar ne
dil bahr-e-nazr yaar ke aage jo le gae
bola ki aap laae hain sadqa utarne
sahra men thahre aur kabhi dasht men phire
ham ko dikhai sair ye fasl-e-bahar ne
‘aughat’ ghurur kyuun na buton ko ho is qadar
un ko hasin banaya hai parvardigar ne
Leave a Reply