kya fasane men mira naam kahin hota hai
tere honton pe nahin hai to nahin hota hai
tu jise dhundhta phirta hai zamane bhar men
apne dil men tu zara jhank vahin hota hai
kitne saada hain ye kashti ke musafir jin ko
na-khudaon ki khudai pe yaqin hota hai
tod kar band-e-qaba chak-gareban ho kar
rang vahshat ka miri aur hasin hota hai
vo jatane ko ye aata hai ki main aata huun
varna dhyan us ka sada aur kahin hota hai
jabki baaqi hai bahut us ki bulandi ka safar
zikr insan ka sar-e-arsh-e-barin hota hai
mat kaho us ko ziyan jis se khushi milti ho
vaqt aise kabhi zaaea to nahin hota hai
mai-kade men hi milega tujhe tera ‘adil’
us ko jaana hai kidhar roz vahin hota hai
Leave a Reply