mah-jabinon ki mohabbat ka natija na mila
murghiyan palin magar ek bhi anDa na mila
husn-e-ḳhud-bin na mila husn-e-ḳhud-ara na mila
jab main sasural gaya ek bhi saala na mila
kis tarah jaata koi manzil-e-maqsad ki taraf
koi yakka koi tanga koi rickshaw na mila
nazar aaya na kahin naseh-e-nadan mera
justuju jis ki thi vo miTTi ka babuva na mila
ab ki nakam raha qa.id-e-mulk-o-millat
ab ki barbadi-e-aqvam ka Theka na mila
shaiḳh-sahib ke talavvun ka fusun hai ye bhi
masjidon men kabhi ik miTTi ka badhna na mila
ai gham-e-dost ziyafat main tiri kya karta
ek ḳhurak se ration hi ziyada na mila
laakh bazar-e-mohabbat ke laga.e phere
be-vaqufi ke siva aur koi sauda na mila
kis tarah se koi ta.amir-e-nasheman karta
kabhi sutli na mili aur kabhi seTha na mila
dost ki shirin-bayani ka maza kya kahiye
aisi barfi kabhi aisa kabhi peḌa na mila
rakkhe hi rakkhe hui jins-e-karam sab barbad
ek bhuke ko magar paao bhar aaTa na mila
haath aa.ega na parvana-e-jannat ai qaum
shaiḳh-sahib ko agar halva paraTha na mila
kis tarah se kisi ta.amir ki hoti takmil
vaqt par jab kabhi iinTa kabhi gaara na mila
aaj shamshir-e-barhana vo liye phirte hain
jin ke ghar men kabhi ik baans ka phaTTa na mila
Leave a Reply