qadam qadam pe hai andaz dilruba.i ka
sitara auj pe hai un ki zerpa.i ka
nahin hai paas masiha ke bhi dava is ki
kisi ko rog ḳhudaya na ho juda.i ka
vo kohkan huun ajal mujh ko ḳhvab-e-shirin hai
guman janaza pe hota hai charpa.i ka
ḳhuda se arz karunga jo samna hoga
buton ki zaat men jauhar hai bevafa.i ka
hamen kal aa.i nahin aaj tak kisi pahlu
bandha hai jab se tasavvur tiri kala.i ka
janab-e-‘faiz’ ye badmastiyan buton ke saath
Daro ḳhuda se ye mausam hai parsa.i ka
Leave a Reply