vahshat-zada dil to juun sharar hai
is ke ta.iin aap se safar hai
tum jaur-o-jafa karo jo chaho
in baton pe kab mujhe nazar hai
tu aap hi ḳhair aap shar hai
kuchh aur na naf.a ne zarar hai
ham be-ḳhabron se rah ḳhabar-dar
itni to bhala tujhe ḳhabar hai
guzri jaati hai har tarah se
duniya guzran sar-ba-sar hai
dil ke ḳhatron se be-ḳhatar huun
sar se paanv talak ḳhatar hai
tu ne hi to yuun niDar kiya hai
bas ek mujhe tira hi Dar hai
yuun dard ba-jan-o-dil samaya
har nala-o-ah kargar hai
ya hazrat-e-andalib baḳhshish
ye tere hi dard ka asar hai
dil teri taraf hai nit par is ko
ma.alum nahin ki tu kidhar hai
yuun aankh se aankh men mila hai
itna to mira dil o jigar hai
be-dard tu kyunki rah sakega
ye hazrat-e-‘dard’ ka ‘asar’ hai
Leave a Reply