akhiri raat thi vo
main ne dil se ye kaha
harf jo likkhe gae
aur jo zaban boli gai
sabhi be-kar gae
main bhi ab haar gaya yaar bhi sab haar gae
koi chara nahin juz-tark-e-taalluq ai dil
ik sada aur sahi akhiri baar
jism se chheda use ruuh se chhu le use
akhiri baar bahe saz-e-badan se koi naghma koi lai
akhiri raat hai ye
akhiri baar hai ye zaiqa-e-bosa-o-lams
akhiri baar chhalak jaae lahu
garmi-e-jan se mahak jaae nafas ki khushbu
khvab men khvab ke manind utar ja ai dil
akhiri raat thi vo
phir guzar ku-e-nadamat se hua to dekha
baam raushan hai jo tha
aur darvaze pe dastak hai vahi
mera qatil dar-o-divar pe kuchh naqsh banata hai abhi
ungliyan khuun se tar dil-e-kam-zarf ko hai vahama-e-arz-e-hunar
din ki har baat hui be-tauqir
raat hai aur zamir
chashm hai muntazir-e-khvab-e-digar
khvab aate hain thaharte hain chale jaate hain
aur qatil ki saza ye bhi ki main zinda huun
Leave a Reply