yagana un ka begana hai begana yagana hai
ḳhuda.i se nirala un buton ka karḳhana hai
nigah-e-naz se said apna murgh-e-dil nahin hota
kabhi uḌta nahin navak se jo vo ye nishana hai
udhar kaliyan chaTakti hain idhar shor-e-anadil hai
chaman men kis ki aamad hai ye kaisa shadiyana hai
junun ne ki hai qabr-e-qais ki is tarah ara.ish
charagh-e-ghul raushan hain bagula shamiyana hai
hamara hal-e-dil sunne se dil par choT lagti hai
uḌa deta hai niind ankhon se jo vo ye fasana hai
phala-phula na kisht-e-dahr men tuḳhm-e-umid-e-dil
nahin agah jo nashv-o-numa se ye vo daana hai
jahan koshish zara ki naqd-e-mazmun us se haath aaya
zamin-e-sher men bhi dafn kya koi ḳhazana hai
bayan karta hai mere vasf aksar apni mahfil men
ye us ayyar ki mujh se lagavaT gha.ebana hai
nava-sanji se meri bulbulon ke hosh uḌte hain
gulon se bhi kahin rangin siva mera tarana hai
tu mushtaqon se apne chashm-poshi roz karta hai
tire didar ki daulat bhi qarun ka ḳhazana hai
urus-e-marg se shadi hui hai ḳhuun se lab tar hai
gale men ye shahid-e-naz ke joḌa shahana hai
kal un se puchh lenge karte ho ab bhi dil-azari
jahan tak chahen kar len zulm aaj un ka zamana hai
hamen baḳhshe na baḳhshe daḳhl ya marzi men malik ki
vagarna us ki rahmat ko to darkar ik bahana hai
jabin-sa rahte hain har-dam malak jinn-o-bashar to kya
dar-e-daulat sara-e-yar ka vo astana hai
anadil ki sada kya buum bhi hai jis jagah anqa
‘qalaq’ is gulshan-e-viran men apna ashiyana hai
Leave a Reply