kya hua kyon ye suhani bastiyan bimar hain
kyon ye dil ke shahr ye abadiyan bimar hain
ek muddat se chaman men jaane par-basta hain kyon
gul hi kuchh be-kaif hain ya titliyan bimar hain
ya kasafat hai hava-e-taza ki tasir men
ya hamare ghar ke dar aur khiḌkiyan bimar hain
Thahr ai shor-e-baharan tham zara hangam-e-shauq
ek muddat se tire shaida yahan bimar hain
kya paḌhe ayat-e-kamil be-basar hai chashm-e-dil
kya likhengi ism-e-azam ungliyan bimar hain
Leave a Reply