jashn tha aish-o-tarab ki intiha thi main na tha
yaar ke pahlu men khali meri ja thi main na tha
us ne kab barkhast ai dil mahfil-e-mearaj ki
kis se puchhun raat kam thi ya sava thi men na tha
main tadap kar mar gaya dekha na us ne jhank kar
us sitamgar ko aziiz apni haya thi main na tha
vaada le leta ki khilvana na mujh ko thokaren
alam-e-arvah men jis ja qaza thi main na tha
sarf karta kis khushi se ja ke us men apni khaak
kya kahun jis din banai karbala thi main na tha
munh na khul sakta na hote ham-kalam un se kalim
umr bhar hasrat hi rahti baat kya thi main na tha
le gai thi mujh ko hasrat janib-e-khud-raftagi
jis taraf ko manzil-e-bim-o-raja thi main na tha
dil ulat jaata mira ya dam nikal jaata mira
shukr hai jab lan-tarani ki sada thi main na tha
lala-o-gul ko bacha leta khizan se ai ‘sharaf’
baagh men jis vaqt nazil ye bala thi main na tha
Leave a Reply