nazar nazar se mila kar kalam kar aaya
ghulam shaah ki ninden haram kar aaya
ka.i charagh hava ke asar men aa.e the
main ek jugnu ko un ka imaam kar aaya
ye kis ki pyaas ke chhinTe paḌe hain paani par
ye kaun jabr ka qissa tamam kar aaya
utarti shaam ke saa.e bahut malul se the
so ek shab main vahan bhi qayam kar aaya
ye aur baat mire paanv kaT ga.e lekin
main shahrah ko ik rah-e-am kar aaya
karun kalam kisi aur se main kya ‘tariq’
ki apne lafz to sab us ke naam kar aaya
Leave a Reply