ab zindagi ko ik naya unvan chahiye
azadiyan nahin mujhe zindan chahiye
Dar hai ki jam na jaa.e kisi ki nazar ki gard
qur.an-e-husn ke liye juzdan chahiye
ḳhali makan dil hai kahin aa basen na ghair
dar par tumhari yaad ka darban chahiye
muslim masihi hindu-o-sikh hain bahut magar
duniya ko amn ke liye insan chahiye
mera vatan hi mera chaman hai bahar hai
aur is chaman ko sachcha nigahban chahiye
kya zindagi hai pal ka bharose nahin magar
sadiyon ke vaste sar-o-saman chahiye
Leave a Reply