arzuen hazar rakhte hain
to bhi ham dil ko maar rakhte hain
barq kam-hausla hai ham bhi to
dil ko be-qarar rakhte hain
ghair hi maurid-e-inayat hai
ham bhi to tum se pyaar rakhte hain
na nigah ne payam ne vaada
naam ko ham bhi yaar rakhte hain
ham se khush-zamzama kahan yuun to
lab o lahja hazar rakhte hain
chotte dil ke hain butan mashhur
bas yahi e’tibar rakhte hain
phir bhi karte hain ‘mir’ sahab ishq
hain javan ikhtiyar rakhte hain
Leave a Reply