itne unche martabe tak tujh ko pahunchaega kaun
main hua munkir to phir teri qasam khaega kaun
tere raste men khadi thiin kaun si majburiyan
main samajh lunga magar duniya ko samjhaega kaun
mil rahi hai jab hamen ik rahat-e-avargi
laut kar is anjuman se apne ghar jaega kaun
meri maazuli ki sunna chahte hain sab khabar
sochta huun ja-nashin ban kar mira aaega kaun
chahta huun ek chingari main is chaqmaq se
lekin is patthar se akhir mujh ko takraega kaun
nek logon ke liye maujud ho tum ai khizar
main agar bhatka to mujh ko raah par laega kaun
us ke vaadon men ‘qatil’ ik husn ik raanai hai
vo na hoga jab to us sa mujh ko bahalaega kaun
Leave a Reply