siyah kamre men jab sub.h ka ujala hua
zamin-bos hua main falak se Tapka hua
tum aftab ko kirnon ki bhiik deti hui
main ek shab ke andhere men saans leta hua
zamin pe phaili hui dhuup us sharare ki
aur ek saaya mire saath saath bujhta hua
kisi ne niind pahan li kisi ki utri hui
kisi ne ḳhvab uThaya kisi ka phenka hua
ye pahli baar koi jang raas aa.i mujhe
main us tak aa gaya dushman shumar hota hua
udaas baiThi hui dhuup sust naav men hai
darun-e-dariya koi jism tilmilata hua
Leave a Reply