baḌi farz-ashna hai saba kare ḳhuub kaam hisab ka
phir uḌa ke le ga.i ik varaq miri zindagi ki kitab ka
kahun kya ki dasht-e-hayat men raha silsila vo sarab ka
kabhi hausla hi na kar saki miri aankh dariya ke ḳhvab ka
na ata-e-duḳhtar-e-raz hai ye na hai faiz-e-saqi-e-mai-nafas
jo chaḌhe to phir na utar sake ye nasha hai fan ki sharab ka
sar-e-rah mil ke bichhaḌ ga.e tha bas ek pal ka vo hadsa
mire sehn-e-dil men muqim hai vahi ek lamha azaab ka
mire saath saath safar men hai mire ghar ki saari hamahami
sar-e-gosh qahqahe ras-bhare sar-e-dosh phuul gulab ka
do farishta dast-e-bala liye do chhalakte jaam taka kiye
mire ham-rikab vo mauj-e-gul vahi sail-e-chashm-e-pur-ab ka
main agarche kar bhi chuka raqam idhar ek daftar-e-ranj-o-gham
magar intizar hai dam-ba-dam mujhe pahle ḳhat ke javab ka
ye jo mere saghar-e-dil men hai mai-e-fan hai ḳhuun ki kashid hai
yahi ek umr ka ma-hasal yahi tosha ḳhana-ḳharab ka
zara soch anjum-e-na-tavan ye vafa ka zikr kahan kahan
sar-e-bazm kar na ise bayan ye sabaq hai sirf nisab ka
Leave a Reply