shahr ke shahr ka afsana vo khush-fahm magar saada musafir
ki jinhen ishq ki lalkar ke rahzan ne kaha: aao!
dikhlaen tumhen ek dar-e-basta ke asrar ka khvab
shahr ke shahr ka afsana vo dil jin ke bayaban men
kisi qatra-e-gum-gashta ke nagah larazne ki sada ne ye kaha:
”aao dikhlaen tumhen subh ke honton pe tabassum ka sarab!”
shahr ke shahr ka afsana vahi arzu-e-khasta ke langdate hue pair
ki hain aaj bhi afsane ki duzdida o zhulida lakiron pe ravan
un asiron ki tarah jin ke rag-o-reshe ki zanjir ki jhankar
bhi tham jaae to kah utthen kahan
”ab kahan jaenge ham
jaaen ab taaza o nadida nigahon ke zamistan men kahan?”
un asiron ki tarah jin ke liye vaqt ki be-sarfa salakhen
na kabhi sard na garm aur na kabhi sakht na narm
na rihai ki pazirai na asiri hi ki sharm
shahr ke shahr ka afsana vo ruhen jo sar-e-pul ke siva
aur kahin vasl ki juuya hi nahin
pul se jinhen paar utarne ki tamanna hi nahin
is ka yaara hi nahin!
Leave a Reply