• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Naseh-E-Mushfiq Ye Mashq-E-Taza Farmane Lage

Naseh-E-Mushfiq Ye Mashq-E-Taza Farmane Lage

poet

naseh-e-mushfiq ye mashq-e-taza farmane lage

din to tha ab raat ko bhi aa ke samjhane lage

hazrat-e-vais kahin daulat-sara ko jaiye

aate hi saman-e-mahshar aap dikhlane lage

aa gae jab yaad kuchh us rabt baham ke maze

dil bhar aaya dida-e-tar ashk barsane lage

phir subu undle bhare shishe hue labrez jaam

laghzish-e-pa apni apni mast dikhlane lage

baghban hushiyar ho mushtaq-e-rukhsat hai bahar

rang badla gulistan ka phuul murjhane lage

jalva-ha-e-husn chamke uth gae munh se naqab

turra-e-gesu ke baham saanp lahrane lage

haath utha ai charagar darman-e-be-tasir se

ja-e-ashk ankhon se ab lakht-e-jigar aane lage

khuub roe dekh kar ham zevar-e-divangi

jab ahibba paanv men zanjir pahnane lage

bhtiyan raushan huiin chamki dukan-e-mai-farosh

rukhsat-e-tauba hui zuhhad ghabrane lage

fasl-e-gul aai badhe josh-e-junun ke valvale

di sada zanjir ne phir paanv khujlane lage

mane-e-matlab hui vo sharam baham ai ‘nasim’

vo ruke apni taraf ham aap sharmane lage

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Bas Dekh Raha Hun Mera Paimana Kahan Hai

Mauzu-E-suKHan Himmat-E-Ali Hi Rahegi

poet

Is Gham-Kade Se Kuchh Na Laga Hath Hamare

poet

Ajab Ahwal Dekha Is Zamane Ke Amiron Ka

Koi Shikwa Tha Shikayat Thi Gila Tha Kya Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet