Bas Ek Bund Thi Auraq-E-Jaan Mein Phail Gai

bas ek buuñd thī aurāq-e-jāñ meñ phail ga.ī

zarā sī baat mirī dāstāñ meñ phail ga.ī

havā ne haath baḌhāyā hī thā ki lau merī

tamām shash-jihāt-e-jism o jaañ meñ phail ga.ī

vo ḳhvāb thā ki khulā thā darīcha-e-shab-e-hijr

tire visāl kī ḳhushbū makāñ meñ phail ga.ī

jo us ke baad havā us se be-ḳhabar the sab

havā ne kuchh na kahā bādbāñ meñ phail ga.ī

khulā ki vahm thā aab o sarāb kī tamīz

pyāsī dhuup thī āb-e-ravāñ meñ phail ga.ī

maiñ us ke tarz-e-taḳhātub kā zahr pī to gayā

magar ajiib sī talḳhī zabāñ meñ phail ga.ī

ziyāñ-nasīb shi.ār-e-vafā sirisht meñ hai

ye baat kaise saf-e-dushmanāñ meñ phail ga.ī

Leave a Comment