khirad ne mujh ko ata ki nazar hakimana
sikhai ishq ne mujh ko hadis-e-rindana
na baada hai na surahi na daur-e-paimana
faqat nigah se rangin hai bazm-e-janana
miri nava-e-pareshan ko shairi na samajh
ki main huun mahram-e-raz-e-durun-e-mai-khana
kali ko dekh ki hai tishna-e-nasim-e-sahar
isi men hai mire dil ka tamam afsana
koi batae mujhe ye ghayab hai ki huzur
sab ashna hain yahan ek main huun begana
farang men koi din aur bhi thahar jaun
mire junun ko sambhale agar ye virana
maqam-e-aql se asan guzar gaya ‘iqbal’
maqam-e-shauq men khoya gaya vo farzana
Leave a Reply