ye diya khuun se jala phir bhi jala hai to sahi
laakh rasman hi mila mujh se mila hai to sahi
an-kahi baat samajh lo to badi baat hai ye
meri khamosh navai men sada hai to sahi
dagmagata mujhe dekhe to sahara de koi
ye jo laghzish hai to laghzish ka maza hai to sahi
bhigi ankhen ye batati hain ki sun kar mira haal
kuchh na kuchh tujh ko bhi ehsas hua hai to sahi
kahen maghrur ko badmast magar sach ye hai
inkisari men bhi apna hi nasha hai to sahi
zindagi bhar miri hasti men racha ho jaise
tujh ko dekha nahin mahsus kiya hai to sahi
kavish-e-zist hai kya apni hi hasti ki talash
khud ko pa lena hi insan ka sila hai to sahi
hai jo azurdagi us ki dam-e-rukhsat ‘adil’
tujh ko andaza-e-tajdid-e-vafa hai to sahi
Leave a Reply