mujh ko bhi tarkib sikha koi yaar julahe
aksar tujh ko dekha hai ki taana bunte
jab koi taaga tuut gaya ya khatm hua
phir se bandh ke
aur sira koi jod ke us men
aage bunne lagte ho
tere is taane men lekin
ik bhi ganth girah buntar ki
dekh nahin sakta hai koi
main ne to ik baar buna tha ek hi rishta
lekin us ki saari girhen
saaf nazar aati hain mere yaar julahe!
Leave a Reply