mujhe utni hi qadr-e-zindagani hoti jaati hai
kisi ki jitni mujh par mehrbani hoti jaati hai
ḳhuda ma.alum ye kaisa zamana aata jaata hai
ki har har saans ab to imtihani hoti jaati hai
mohabbat karne vaala su-e-manzil baḌhta jaata hai
jo mushkil aati jaati hai vo paani hoti jaati hai
jidhar jaao musibat hai jidhar dekho musibat hai
musibat ab to juzv-e-zindagani hoti jaati hai
ḳhuda ka shukr dil rah-e-vafa men miTta jaata hai
jo faani chiiz hai vo javedani hoti jaati hai
ham apna daur-e-mazi bhulte jaate hain ai ‘sharib’
qayamat hai haqiqat bhi kahani hoti jaati hai
Leave a Reply