har ek baat ko chup-chap kyuun suna jaae
kabhi to hausla kar ke nahin kaha jaae
tumhara ghar bhi isi shahr ke hisar men hai
lagi hai aag kahan kyuun pata kiya jaae
juda hai hiir se ranjha kai zamanon se
nae sire se kahani ko phir likha jaae
kaha gaya hai sitaron ko chhuna mushkil hai
ye kitna sach hai kabhi tajraba kiya jaae
kitaben yuun to bahut si hain mere baare men
kabhi akele men khud ko bhi padh liya jaae
Leave a Reply