patte ki tarah TuuT ke nazron se gira huun
har rang se main barsar-e-paikar raha huun
mujh ko varaq-e-daftar-e-farsuda na samjho
har daur ke divan ka main naghma-sara huun
sadiyon se musallat tha vo ik lamha-e-javed
tanha.i-e-shab men jo kabhi tujh se mila huun
ye bhi to mira sheva-e-isa-nafasi hai
har jalte badan ke liye main ThanDi hava huun
har saada varaq paikar-e-fariyad bana hai
divan ke divan ko main chaaT chuka huun
ik din to ujalon se gale mil ke rahunga
sadiyon se andheron ke ham-aghosh raha huun
ḳhurshed ke sahba men hayat apni Dubo kar
main gardish-e-ayyam se bhi khel raha huun
Leave a Reply