buton ka zikr karo vaaiz khuda ko kis ne dekha hai
sharar-e-sang-e-musa ke liye barq-e-tajalla hai
ye hindostan hai yaan parbaton ka rose mela hai
khuda jaane vo but ai ‘mehr’ debi hai ki durga hai
ye hindostan hai yaan parbaton ka rose mela hai
koi kali-bhavani koi debi koi durga hai
butan-e-hind men nam-e-khuda kab koi tujh sa hai
tiri zulfen hain kaali ai sanam tu aap durga hai
dil-e-nalan tumhare halqa-e-gesu men kahta hai
main hindostan men huun kafiron ne mujh ko ghera hai
ye kis kafir ki khatir ‘mehr’ chakkar men tu rahta hai
ye kis ke vaste gardish falak ke charkh puuja hai
siyah rumal gori gori gardan men lapeta hai
gale milva diya sham-e-sahar ko kya tamasha hai
gala vo gora gora us pe ik rumal kaala hai
vahi aalam miri ankhon men ab din-rat phirta hai
tasavvur us sanam ka hai hamen kaabe se kya matlab
charagh apna hai dagh-e-dil hai jo mandir men jalta hai
kiya hai khuun mire dil ka balidan is ko kahte hain
gham-e-furqat vo kafir hai ki durga paath karta hai
juda hai ne.mat-e-duniya se lazzat bosa-e-lab ki
vo jogi ho gaya jis ne ye mohan-bhog chakkha hai
shararat se shararat hai buto lillah baaz aao
jalate ho jo mere dil ko tum kya ye bhi lanka hai
halal us ne kiya khun-e-musalman vaae bedardi
tira dast-e-hinai kafir ab ye rang laaya hai
hamesha hai ye nalan us sanam ki yaad men yarab
jase ham dil samajhte the vo naqus-e-kalisa hai
bada andher hai kyunkar na ho dil ko pareshani
sarasar pech karti hai bala zulf-e-chalipa hai
ajab aalam nazar aaya tire kucha men o qatil
kahin koi sisakta hai kahin koi tadapta hai
kahan vo qad kahan ye kunda-ha-e-na-tarashida
na sarv aisa hai ne shamshad aisa hai na tuuba hai
bata jaaez hai kis mazhab men khun-e-be-gunah zalim
tu hindu hai musalman hai yahudi hai ki tarsa hai
sune murda to ji utthe badan men ruuh phir aae
gale men ai sanam nam-e-khuda kya taan palta hai
khuda aalam hai mazmun-e-khayali hain tasavvur men
na mujh ko kuchh taalluq hai na meri us ko parva hai
khuda jaane kiya kis but ne kafir ik musalman ko
janev hai gale men ‘mehr’ ke mathe pe tiika hai
kiya kafir ne kafir ‘mehr’ se mard-e-musalman ko
janev rishta-e-tasbih dagh-e-sajda tiika hai
Leave a Reply