ranj-o-gham sahe kab tak mujh sa na-tavan tanha
main hi rah gaya huun kya zer-e-asman tanha
is ada se karte hain zikr hazrat-e-va.iz
jaise aap hi to hain malik-e-jinan tanha
ek hu ka aalam hai gul hai aur na ghunche hain
kya karega gulshan men rah ke baghban tanha
ab vatan ki quvvat ka haal puchhte kya ho
ek ek lashkar hai ek ik javan tanha
asman ke taare hon ya zamin ke zarre hon
main suna.un kis kis ko apni dastan tanha
un ki yaad hai dil men un ki shakl ankhon men
un se chhuTne par bhi main raha kahan tanha
pichhe rah ga.e thak kar ahl-e-karvan saare
hai ravan su-e-manzil mir-e-karvan tanha
ashiyan ke jalte hi ashiyan banata huun
main faqat samajhta huun barq ki zaban tanha
ai ‘sa.id’ qismat ko ye bhi din dikhana tha
aaj apni halat par main huun nauha-ḳhvan tanha
Leave a Reply