vo shaḳhs ki main jis se mohabbat nahin karta
hansta hai mujhe dekh ke nafrat nahin karta
pakḌa hi gaya huun to mujhe daar pe khincho
sachcha huun magar apni vakalat nahin karta
kyuun baḳhsh diya mujh se gunahgar ko maula
munsif to kisi se bhi ri.ayat nahin karta
ghar valon ko ghaflat pe sabhi kos rahe hain
choron ko magar koi malamat nahin karta
kis qaum ke dil men nahin jazbat-e-barahim
kis mulk pe namrud hukumat nahin karta
dete hain ujale mire sajdon ki gavahi
main chhup ke andhere men ibadat nahin karta
bhula nahin main aaj bhi adab-e-javani
main aaj bhi auron ko nasihat nahin karta
insan ye samjhen ki yahan dafn ḳhuda hai
main aise mazaron ki ziyarat nahin karta
duniya men ‘qatil’ us sa munafiq nahin koi
jo zulm to sahta hai baghavat nahin karta
Leave a Reply