urdi-o-dai se pare sud-o-ziyan se aage
aao chal niklen kahin qaid-e-zaman se aage
is ḳharabe men abas hain gham-o-shadi donon
meri taskin ka maskan hai makan se aage
ah-o-nala hi sahi ahl-e-vafa ka maslak
ik maqam aur bhi aata hai fughan se aage
daar tak saaf nazar aata hai rishta dekhen
phir kidhar jaate hain ushshaq vahan se aage
ḳhun-aluda kafan shareh-e-sad-daftar-e-dil
tarz-e-iz.har hai ik aur zaban se aage
fikr mafluj jo zindani-e-aflak rahe
tiir be-kar jo nikle na kaman se aage
thi bahut ḳhana-ḳharabi ko hamari ye umr
ik jahan aur bhi sunte hain yahan se aage
main ki huun hazir-o-maujud ke vasvas men qaid
tu ki hai parda-nashin vahm-o-guman se aage
Leave a Reply