bagule
shor karte hain
miri khvahish ki duniya men
jahan viraniyan hain aur
bahut se banjh pedon ki qataren hain
ki jin ki be-karani men
bahut din ho gae
mausam nahin aae baharon ke
nahin to bulbulen chahkin
nahin to phuul hi mahke
madhur avaz koyal ki nahin aai
bahut din ho gae
ki har-su
gahri virani ka kaisa daur-daura hai
miri khvahish ki duniya men
magar phir bhi
bagule shor karte hain