atash o injimad hai mujh men
kaisa kaisa tazad hai mujh men
khvab se pahle kuchh nahin yaksar
jo bhi hai us ke baad hai mujh men
zakhm khulte hain saans ghutti hai
aisi bast-o-kushad hai mujh men
ranj-e-dil hai hara bhara ab tak
koi to hai jo shaad hai mujh men
dushmani ka hi rah gaya sarokar
varna kis ka mafad hai mujh men
koi is ka sabab nahin tu hi
ye jo itna fasad hai mujh men
koi jalsa hai zor ka jaise
jis ka ye iniqad hai mujh men
jise ab tak talash karta huun
gum-shuda ek yaad hai mujh men
andhiyan si jo chal rahi hain ‘zafar’
surat-e-khak-o-bad hai mujh men
Leave a Reply