kuchh hai khabar farishton ke jalte hain par kahan
jaati hai be-adab nigah-e-parda-dar kahan
ye sham-o-anjuman ye mai-o-jam ye bahar
mehman raat bhar ke hain vaqt-e-sahar kahan
nazzara-e-jamal hai go jan-e-zindagi
varafta-e-jamal ko fursat magar kahan
dil arsh-gah-e-husn hai dil jalva-gah-e-naz
ye aap hi ka ghar hai hamari guzar kahan
hai vaqt-e-naza aur gham-e-ishq duur duur
jaata hai saath chhod ke ye ham-safar kahan
is be-khudi-e-shauq men ‘abrar’ kis ko hosh
manzil kahan hai main huun kahan rahbar kahan
Leave a Reply