jaise kisi se vasl ka va.ada vafa hua
yuun sub.h-dam charagh se sho.ala juda hua
zahrab-e-gham ka koi asar ho to kis tarah
siine men dil hai dil bhi lahu men bujha hua
tujh se sada-bahar ko andesha-e-ḳhizan
puura na ho ḳhuda kare tera kaha hua
is chashm-e-mai-farosh se pi jis ka ek umr
ik shaam ka bhi qarz ba-mushkil ada hua
deta hai mujh ko tark-e-mohabbat ke mashvare
tere siva bhi hai koi dil men chhupa hua
ja.un kahan ki tark-e-tamanna ke bavajud
hai har taraf hisar-e-tamanna khincha hua
Leave a Reply