khinch lai thi mujhe KHushbu hi tere pairahan ki

khīñch laa.ī thī mujhe ḳhushbū hī tere pairahan kī

par tirī āñkhoñ meñ hai vahshat bhī āhū-e-ḳhutan kī

ishq kī ātish kahāñ bārūd ke sho.ale haiñ raqsāñ

ab kahāñ vo zulf aur vo dāstāñ dār-o-rasan kī

kyā hue vo din ki jab aksar mayassar thī mujhe bhī

din ko zulmat zulf kī aur dhuup shab ko sīm-tan kī

ātish-e-furqat se maiñ shab ko ujālā māñgtā huuñ

ishq meñ hotī nahīñ hai had koī dīvāne-pan kī

raushnī jis kī mirī āñkhoñ ko ḳhīra kar chukī hai

raakh kar ke chhoḌ degī ab harārat is badan kī

dekh ke raste ke manzar sab ke sab the ġharq-e-hairat

yaad aise meñ bhalā aatī kise apne vatan kī

Leave a Comment