lamha lamha ik na.i sa.i-e-baqa karti hui
kaT rahi hai zindagi ḳhud ko fana karti hui
teri chup hai ya mire andar macha kohram hai
koi shai to hai zaban ko be-nava karti hui
apne andar reza reza TuuT kar bikhra huun main
hai ye kya shai chor dil ka aa.ina karti hui
kisht-e-jan se din ko kaTti hai na.e zaḳhmon ki fasl
raat aati hai inhen phir se hara karti hui
mere hone se na hone ka sabab paida hua
mujh ko hasti hi thi ḳhud mujh se juda karti hui
maut to ‘azad’ hai azadiyon ka ik jahan
zindagi hai har nafas ḳhud ko riha karti hui
Leave a Reply