• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ghubar-E-Ishq Se Hasti Ko Bharne Wala Hun Main

Ghubar-E-Ishq Se Hasti Ko Bharne Wala Hun Main

poet

ghubar-e-ishq se hasti ko bharne vaala huun main

ye raushni to sar-e-chak dharne vaala huun main

ḳhamir-e-zauq tujhe manzilon pe la.ega

vufur-e-shauq men jaan se guzarne vaala huun main

ḳharab karti rahin mujh ko sangaten hi tiri

har ik bigaḌ pe samjha sanvarne vaala huun main

kisi ki raa.e pe kab kaan dharne vaala huun main

ye umr apni hi dhan men basarne vaala huun main

ḳhud apni zaat se bahar ho munqasim tum to

ḳhud apni zaat ke andar bikharne vaala huun main

kisi taraf se tarazu zarur jhukta hai so

kisi mafad men nuqsan karne vaala huun main

main apne aap ko samjha to mera ḳhauf gaya

ki log to ye samajhte the Darne vaala huun main

na aa sakenge tire ḳhal-o-ḳhad sar-e-manzar

na canvas men koi rang bharne vaala huun main

hamen ye maut juda kar na pa.egi ‘zishan’

vo titliyon men gulon men ubharne vaala huun main

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mujh Mein Maujud Hai Jo Chaak Nahin Khulta Kuchh

Jalti Bujhti Hui Shamon Ka Dhuan Rahta Hai

Kaisi Sohbat Hai Kaisi Tanhai

Wo Humse Milne Ke Liye Aae Nahin Kabhi

Aankh Mein Partaw-E-Mahtab Salamat Rah Jae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet