ye jo baune khuda bane hain ajiib shai se jo lag rahe hain
hain dar-haqiqat ye aadmi hi bas un ki khaslat juda hai thodi
ana jo un ki kuchal chuki hai zamir un ka jo mar gaya hai
ye sach hai zehni ghulam hain ab khabasaton ke imaam hain ye
hamesha jhuk kar mile dani se sana men ratab-ul-lisan ho kar
gunah ko un ke savab jaana fareb ko la-javab kah kar
unhi ko aaqa unhi ko malik unhi ko apna khuda bhi maana
unhi ke hathon jism-o-jan ko khudi ko iman ko bech daala
ba-nam-e-ilm-o-adab jo paaya
abdullah-ibn-e-ubay ki daulat abu-jahl ki vo khasiyat hai
jo chahen un ko kuchh aur kah len jo chahen insan phir bhi samjhen
magar ye sach hai laiin hain ye
kam-zarf aur haqir hain ye
ye danaon ke haq ko yaksar ghabi ko mohmal ko bechte hain
ye qaum-o-millat ka naam le kar usul-o-maz.hab ki baat kah kar
naslen kitni tabah kar ke khetiyan apni sinchte hain
aur habab dil men baitha
main dekhta huun ye sochta huun
hai kaun mujrim in men akhir
jo aaqa malik bana hua tha
ya vo jo bauna khuda bana hai
ya phir vo daana shikast kha kar
idhar udhar jo bhatak rahe hain
ya vo ghabi jo haq chura kar
khuda ke khitte men aa base hain
ya main
ki tanha muhit-e-dil men
mahz tamasha-bin bana huun
Leave a Reply