paida hua ye habab kaisa
dariya men hai pech-o-tab kaisa
ab fasl-e-junun kahan hai baaqi
phir dekh raha huun khvab kaisa
tha dast-e-hunar men mom sa jo
pathra gaya vo shabab kaisa
sim-sim ki sada pe khul raha tha
tha halqa-e-dar-e-sarab kaisa
ek ek varaq padha hua sa
hai nuskha-e-intikhab kaisa
partav se tire vajud mera
aghosh men le hijab kaisa
kya jaane hamari talkh-kami
hai zaiqa-e-sharab kaisa
khushbuen tavaf kar rahi thiin
tha pichhle pahar khitab kaisa
qatra qatra chamak raha hai
raushan hua zer-e-ab kaisa
main apne khilaf ho gaya huun
nazil hua ye azaab kaisa
muddat se hai band qufl-e-abjad
ai muhtasibo hisab kaisa
sab mauj-e-hava men rang us ke
ai momino ijtinab kaisa
divar ka bojh baam par hai
ye ghar bhi hua kharab kaisa
Leave a Reply