kabhi uḌo to sahi tum uḌaan se uupar
faza.en aur bhi hain asman se uupar
mira safina ajab kashmakash men tairta tha
hava sukut men thi badban se uupar
kisi ne sach na kaha aur sab ne sach jaana
ajab kamal-e-bayan tha bayan se uupar
mire harif ke sab tiir be-ḳhata to na the
magar vo dast-e-aman tha kaman se uupar
kisi ne aaj hi paani men paanv Daala hai
chala hai aaj hi dariya nishan se uupar
mira qabila tah-e-asman hai be-ḳhema
yaqin ki had hai magar har guman se uupar
agar ye qafila mera nahin to phir ‘at.har’
hai kis alaav ka partav chaTan se uupar
Leave a Reply