bahut qarine ki zindagi thi ajab qayamat men aa basa huun
sukun ki sub.h chahta tha so sham-e-vahshat men aa basa huun
main apni angusht kaTta tha ki biich men niind aa na jaa.e
agarche sab ḳhvab ka safar tha magar haqiqat men aa basa huun
visal-e-farda ki justuju men nashat-e-imroz ghaT raha hai
ye kis talab men ghira hua huun ye kis aziyyat men aa basa huun
yahan to be-fursati ke hathon vo pa.emali hui hai meri
ki jis se milne ki aarzu thi usi ki furqat men aa basa huun
kahan ki duniya kahan ki sansen ki sab fareb-e-havas nikla
jaza ki muddat samajh raha tha saza ki mohlat men aa basa huun
saval karne ke hausle se javab dene ke faisle tak
jo vaqfa-e-sabr aa gaya tha usi ki lazzat men aa basa huun
ye un se kahna jo meri chup se hazar baten bana rahe the
main apne sho.ale ko pa chuka huun main apni shiddat men aa basa huun
Leave a Reply