miri sifat ka jab us ne e’tiraf kiya
baja.e chehra ke a.ina main ne saaf kiya
chhupa tha hiira koi raste ke patthar men
hamari Thokaron ne is ka inkishaf kiya
muvafaqat men chali thi mire safine ki
hava ne biich samundar men iḳhtilaf kiya
guhar bana ke sadaf ne use nikala hai
kabhi jo buund ne dariya se inhiraf kiya
zamin ghumti hai jaise apne mehvar par
ḳhud apni zaat ka main ne yuun hi tavaf kiya
Leave a Reply