• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Bagh Mein Jab Ki Wo dil Khun-Kun-E-Har-Gul Pahunche

Bagh Mein Jab Ki Wo dil Khun-Kun-E-Har-Gul Pahunche

poet

baagh men jab ki vo dil khun-kun-e-har-gul pahunche

bilbilati hui gulzar men bulbul pahunche

sadma-e-sham-e-ajal mujh ko na bilkul pahunche

gar miri daad ko kal tak bhi vo kakul pahunche

dil bhi le kar alam-e-ah muqabil pahuncha

neza-bazan-e-mizha jab ba-taghaful pahunche

mehr kucha tira jhade hai ba-jarub-e-shua

ki isi tarah baham tujh se tavassul pahunche

apna ye munh to na tha aap talak ham pahunchen

aap ka jab ki hua ham pe tafazzul pahunche

ham-rah-e-yas-o-alam dasht-e-junun men kal ham

ba-tahammul ba-taammul ba-tajammul pahunche

gar tire vazn pe main saare qavafi bandhun

dam tira naak men ai bab-e-tafavvul pahunche

khana-abad tumhara ho ki ham hazrat-e-ishq

nafa ko tum se ba-ayyam-e-tavakkul pahunche

dard-o-gham yas-o-alam soz-e-dil o dagh-e-jigar

tohfe jo aap ne bheje hamen bilkul pahunche

jab gaya husn to aaya tire ikhlas ka baar

ab taraqqi hai tab ayyam-e-tanazzul pahunche

qahr ik rind pe qul pir-e-mughan ne tha padha

sher ye ham ne suna sunne ko jab qul pahunche

tars-e-uqba hai to mai-khana men rah ai zahid

tab bacho vaan jo baja kaan men qulqul pahunche

rashk-e-gul baagh men baitha tha to ham bhi ‘ehsan’

ye ghazal padhte hue vaan ba-tajahul pahunche

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Raste Jis Taraf Bulate Hain

poet

Dil Ba-Az-Kaba Hai Yaran Jubba-Sai Chahiye

poet

Tum KHafa Kya Hue Hayat Gai

Dil Ke Andar Chalo to Achchha Hai

poet

Raat Ke Pichhle Pahar Ek sansanahaT Si Hui

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet